Monday, December 15, 2014

Wajood.

wajood ....

July 28, 2009 at 2:04am
wajood ki khooj hoon mein
wajood kay sath hoon mein
wajood ki talash mein
wajood kay pass hoon mein

so i believed!

wajood nikhar nahi saki mein
us ko apna bana nahi saki mein
zindagi buhut choti hai
usko yeh ssamjha nahi saki mein

mohobat sirf daynay ka naam hai
galti ko maaf aur bhol ko nazar andaz kernay ka naam hai
meri barsoon ki wafa aur yaqeen
woh jazbat woh ansoon
kuch bhi to nahi samjha saki mein

khud mitkay kisi ko mitnay sey bachalay
kaha tha kisi nay
wajood tujhey panay mein mitay aur mitaya tha sabhi
aaj us moor per to chor chala hai tu aagay
k jis ko manzil samjha tha mein nay
bus yeh baat tujhey samjha nahi saki mein


wajood ki khooj hoon mein
wajood kay sath hoon mein
wajood ki talash mein
wajood kay pass hoon mein
salamat rahay tera wajood
ta qayamat dum-o-kham k sath
teri khushi ki khatir aaj yeh basi hasti mitai
bus yeh tujhey samjha nahi saki mein.





No comments: